Conversation Song - Credits
"hello
hello akki
haan bhai
kya haal hai ladke
mai suicide kar raha hoon yaar
abe kya ch****a ho gaya
kya baat kar raha
kahan hai tu
mai i don't know
pata nahi yaar"
f**k tang aa gaya har cheez se
chahta hoon pana chutkara is naseeb se
likhe hain gum aur bas haar har lakeer pe
milna hoon chahta apni maut ko kareeb se
abe sun
kya tu pagal hai
ye dukh bas chaar din
kale badal hain
tu capable har cheez me tu kabil hai
ye bol raha jo shaitan tujhme dakhil hai
haan ye jeevan mayajal hai
usi ki taal hai jo yahan malamaal hai
mujh jaise boht kabil
par kabiliyat pe nakabil logo ke
yahan boht se sawal hain
i feel you
par iska hal khudkhushi nahi
teri iss khushi me
kisi ki khushi nahi
maut se sukhi pyaas kabhi bujhi nahi
thanda hokar soch abhi saansein teri ruki nahi
hello
thanda hokar soch
abhi saansein teri ruki nahi
hello
i feel you
par iska hal khudkhushi nahi
thanda paani pe
aur band kar peena
in baaton se nahi hoga chauda tere baap ka seena
raat din ek kar jab tak khoon ban na jaye paseena
meri baatein maan
sober rehke dekh ek mahina
ek mahina
bolna aasan hai
itna pressure meri roz jati jaan hai
na hi shop na hi khud ka makaan hai
kahin padha tha ki maine moksh kabristan hai
maine bhi padha hai ki zindagi bahar hai
mana maine khushiyan kayi mushkilon ke paar hai
tu samajhdaar hai
samajh se tu kaam le
umeed ke liye hath ko tu thaam le
umeed
mai umeed se nirash hoon
anxiety insomnia
mai bas zinda lash hoon
koi ek nahi jiske liye khaas hoon
chod chuka cheezon ko mai karna ehsaas hoon
hello
hun zinda par lagta hai
saansein ruki hain
hello
meri mushkilon ka haal
khudkhushi hai
ye nasha mera escape hai
life dukho se bhari ek mixtape hai
log muh ke aage real
piche sare fake hain
suicide mere liye ek lambi break hai
par is break ke baad tera time nahi aayega
tu karega baap bhuktega jahan jayega
rishto ke hisaab tu chuka nahi paayega
shareer gaya mar use utha nahi paayega
dost is zindagi ke rang kai
har din is zindagi me jang nai
khush naseeb tere hai salamat
hath pair tu mohtaj ya apnag nahi
maar kar vijay paa apni hek par
tere saath judi family ka pet bhar
jab tak na miley success chase kar
medicate nahi mere dost meditate kar
"samjha
kya samjha
ye ki now i'm feeling good
thankyou bhai mujhe sunne ke liye
aree bhai hai
bhai hai
chal love you hai
aur ye faltu ki kayar baate mat kariyo
soja subah utha nayi shruwat kar
samjha
done bawe done"
sez on the beat boy